"munh taka hi kare hai jis-tis ka..." by Mir Taqi Mir

munh taka hi kare hai jis-tis ka
hairati hai ye aina kis ka

sham se kuch bujha sa rahta hai
dil hua hai chirag muflis ka

the bure mugabachon k tewar lek
shaikh maikhane se bhala khiska

faiz-e-abr chashm-e-tar se utha
aj daman wasi hai is ka

tab kis ko jo hal-e-'Mir' sune
hal hi aur kuch hai majalis ka

Poet: Mir Taqi Mir

"kon pareshan hota hai" by Ahmad Faraz

kon pareshan hota hai teray gam say Faraz!!!
woh apni hi kisi bat pay roya hoga...



Poet: Ahmad Faraz
"Main us ka hoon..." by Ahmad Faraz

Main us ka hoon ,ye raaz tu wo jan gaya hai “Faraz”!!!
Wo kis ka hai ye sawal mujhe sonay nahin deta!

Poet: Ahmad Faraz


"Apne siwa bataao..." by Ahmad Faraz 


Apne siwa bataao! kuch mila hai tumhein Faraz ?
Hazaar baar lein hain tum ne mere dil ki talashiyaan

Poet: Ahmad Faraz 

"Haseen yadoon k kuch mousam..." by Ahmad Faraz

Haseen yadoon k kuch mousam usey arsal karnay hain “FARAZ”!!
Suna hai shab ko “tanhai” usey sonay nahin deti……..



Poet: Ahmad Faraz

"Suna Hai Zindagi..." by Ahmad Faraz

Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai FARAZ
Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi Leli



Poet: Ahmad Faraz
"Mili saza jo mujhe..." by Ahmad Faraz

Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faraz
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha

ملی سزا جو مجھے وہ کسی ختا پہ نہ تھی فراز
مجھپے جرم جو ثابت ہوا وہ وفا کا تھا


Poet: Ahmad Faraz

"Ungliyan aaj bhi is soch me..." by Ahmad Faraz

Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai faraz
Usnay kaisay naye haath ko thaama hoga

انگلیاں آج بھی اس سوچ میں گم ہے فراز
اسنے کیسے نئے ہاتھ کو تھاما ہو گا


Poet: Ahmad Faraz

"Unglian toot gaen..." by Ahmad Faraz

Unglian toot gaen pather tarashte tarashte ‘Faraz”!!
Aur jab bani soorat-e-yaar tu kharidar aa gaye..


Poet: Ahmad Faraz

Shayari is a unique and ecstatic poetic language used to express feelings and desires in very less and heart touching words. It is basically expression of one’s feelings and desire. Since every human being has their own feelings and desires, they need a way to express them. Therefore, everyone is invited to write his/her own Urdu Sher-O-Shaayaree here.

Please post your Urdu Sher-O-Shayari and Urdu Ghazal's in the comment text box below (choose Comment as “Anonymous” if you don’t want to log in) and don’t forget to mention your name and city. I will be very happy to post your thoughts and shayari here at http://myurdusheroshayari.blogspot.com/.

Na shayar hoon main na sha'oor-e-ishq mujhko Faiz
Main to likhta hoon kay hal-e-dil bayan kar sakon!
Poet: Me (Faiz Ahmed Dehlvi)

Jazakallah khair
Faiz Ahmed

"Humaray baad nahi aye ga..." by Ahmad Faraz

Humaray baad nahin ay ga tumhain chahat ka aysa maza “Faraz”!
Tum logon se kehtay phiroo gay mujhe chahao us ki tarah!



Poet:Ahmad Faraz


"Jis shahkas ko phoolon..." by Ahmad Faraz

Maine jis shahkas ko phoolon se sajaya tha “Faraz”!!
Meray seene main usee shahkas ka kanta utra

میں نے جس شخص کو پھولوں سے سجایا تھا فراز
میرے سینے میں اسی شخص کا کانٹا اُترا


Poet: Ahmad Faraz

"Wo ankhain jheel c gehri..." by Ahmad Faraz

Faraz” wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin

Poet: Ahmad Faraz
"Faraz” wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!" by Ahmad Faraz

Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge

Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge

Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke

Aur muhabbat vahi andaz purane maNge

Ham na hote to kisi aur ke charche hote

Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge

Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`

Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge

Poet: Ahmad Faraz
"Lamhy Yaad Rakhta Hoon..." by Ahmad Faraz

Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn

Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Poet: Ahmad Faraz

"Kaat Kar Zuban Meri..." by Ahmad Faraz

Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Wo FARAZ,
Ab Tumhe Ejazat hai Hal-e-Dil Sunane Ki.

کاٹ کر زبان میری کھ رہا تھا وہ فراز
اب تمھے اجازت ہے حال دل سنانے کی



Poet: Ahmad Faraz
"Ansoo Hansi Hansi Mein Nikal Aaye..." by Ahmad Faraz

Ansoo Hansi Hansi Mein Nikal Aaye Q Faraz??
Bethe Bethe Ye Kaunse Ghum Yaad Agaye…



Poet: Ahmad Faraz 

"Usey Taraash K Heera Bana Diya..."

Usey Taraash K Heera Bana Diya Hum Ne Faraz,
Magar Ab Ye Sochte Hain USey KHaridain Kaise



Poet: Ahmad Faraz 

"Bas Yehi Soch Ker..." by Ahmad Faraz

Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz,
Mera To Koi Nahi Hai Magr Tera TU Koi Ho!!



Poet: Ahmad Faraz


"Mein Yunhi Bewafa..." by Ahmad Faraz

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!


Poet: Ahmad Faraz


"Suna hay loog ose aankh bhar ke..." by Ahmad Faraz

Suna hay loog ose aankh bhar ke dekhte hyn
to uske shaher men kuch din thaher ke dekhte hyn
 
Poet: Ahmad Faraz 

"Chahat Bharay Wo Lafz..." by Ahmad Faraz

Chahat Bharay Wo Lafz Aur har LAfz Mein Dua Faraz,
Maqrooz Kar Dia Humain Tumhari Khaloos Nay

چاہت بھرے وہ لفظ اور ہر لفظ میں دعا فراز
مقروض کر دیا ہمیں تمہاری خلوص نے



Poet: Ahmad Faraz

"Raat Bari Mushkil Se Sulaya..." by Ahmad Faraz

Raat Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Mene Faraz,
Warna Light K Baghair Kon Sota Hai ????

رات بھر مشکل سے سلایا ہے خد کو مینے فراز
ورنا لائیٹ کے بغیر کون سوتا ہے؟؟؟؟


Poet: Ahmad Faraz

"Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz..." by Ahmad Faraz

Sirf Chehre Ki Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz,
Dil Ka Alam Tu Abhi Ap Ne Dekha Hi Nahi!!!!

صرف چہرے کی اداسی سے بھر آے انسو فراز
دل کا عالم تو ابھی آپ نے دیکھا ہی نہی


Poet: Ahmad Faraz
Yaad Ka Nasha...by Ahmad Faraz

Ab Usai Roz Na Sochun TOu Badan Tutta Hai Faraz.
Aik Umer Ho Gai Hai Uski Yaad Ka NAsha KArte KArte…

اب اسے روز نہ سوچوں تو بدن توٹتا ہے فراز
اک عمر ہوگی ہے اسکی یاد کا نشا کرتے کرتے


Poet: Ahmad Faraz
"Mujhe Kehta Hai Jhooti Hain..." by Ahmad Faraz

Mujhe Kehta Hai Jhooti Hain Teri Beykar Se Baatein Faraz,
Magar Lagta Hai Wo Meri Unhi Baaton Pe Marta Hai...

مجھے کہتا ہے جھوٹی ہے تیری بیکار سی باتیں فراز
مگر لگتا ہے وہ میرے انہی باتوں پہ مرتا ہے


Poet: Ahmad Faraz
"In Barishon Se Dosti Achi Nahi..." by Ahmad Faraz

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Makan Hai Tera Kuch Yu Khayal kar

ان بارشوں سے دوستی اچھی نہی فراز

کچّا مکان ہے تیرا کچھ تو خیال کر


Poet: Ahmad Faraz
"Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le.."


Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Lie Hum Jaga Karty Thy

اب نیند سے کہو کہ ہم سے صلح کر لے فراز
وہ دور چلا گیا ہے جسکیلے ہم جاگا کرتے تھے



Poet: Ahmad Faraz

"Munfrid Rehne Ka Shoq Faraz..." by Ahmad Faraz

Kahin Tanha Na Kar De Tujhe Munfrid Rehne Ka Shoq Faraz
Jub Din Dhale Tu Kisi Se Haal-e-Dil Keh Dia Kar

کہی تنہا نہ کردے تجھے منفرد رہنے کا شوق فراز
جب دن ڈھلے تو کسی سے حال دل کہد یا کر

Poet: Ahmad Faraz

"Barshein Rukti He Nahi Faraz..." by Ahmad Faraz

Iss Dafa Barshein Rukti He Nahi Faraz,
Hum Ne Ansu Kia Piye Sare Mosam Ro Pare

اس دفا بارشیں رکتی ہی نہی فراز
ہم نے انسو کیا پیے سارے موسم رو پڈے

Poet: Ahmad Faraz

"Dil Ajab Gumbad K Jis Main..." by Adeem Hashmi

dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin

Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tahani par parinda hai ki patta hai ‘Adeem’
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain ‘Adeem’
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

Poet: Adeem Hashmi


"Kat Hi Gai Judai Bhi Kab..." by

kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

tu bhi kuch aur aur hai ham bhi kuch aur aur hain
jane wo tu kidhar gaya jane wo ham kidhar gaye

rahon main hi mile the ham rahen nasib ban gain
tu bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar gaye

wo bhi gubar-e-Khak tha ham bhi gubar-e-khak the
wo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye

koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanwar gaye

tere liye chale the ham tere liye thehar gaye
tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gaye

waqt hi kuch judai ka itna tavil ho gaya
dil men tere firaq ke jitne the zaKhm bhar gaye

barish-e-vasl wo hui sara gubar dhul gaya
wo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye

itne qarib ho gaye itne raqib ho gaye
wo bhi “Adeem” dar gaya ham bhi “Adeem” dar gaye
Poet: Adeem Hashmi

"Akhiri Tis Azamane Ko..." by Ada Jafri

akhiri Tis azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko

yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko

sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko

zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko

jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko

kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko

khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko

reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko

hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko

hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko

as ki bat ho ki sans ‘Ada’
ye Khilaune hain tuT jane ko

Poet: Ada Jafri

"Har Ek Harf E Arazu Ko..." by Ada Jafri

har ek harf-e-arazu ko dastan kiye hue
zamana ho gaya hai un ko mahaman kiye hue

surur-e-aish talKhi-e-hayat ne bhula diya
dil-e-hazin hai bekasi ko hijr-e-jan kiye hue

kali kali ko gulistan kiye hue vo ayenge
vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue

sukun-e-dil ki rahaton ko un se mang loon
sukun-e-dil ki rahaton ko bekaran kiye hue

vo ayenge to ayenge junun-e-shauq ubharane
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chhupa ke un ko dekh loon
k un se bhi hai aj rashk bad_guman kiye hue

Poet: Ada Jafri
"Shayad Abhi Hai Rakh Main..." by Ada Jafri

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi
kyon varna intazar bhi hai iztirar bhi

dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka
milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi

ab dhundhane chale ho musafar ko dosto
hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi

har astan pe nasiyafarsa hain aj vo
jo kal na kar sake the tera intazar bhi

ik rah ruk gai to thithak kyon gai ‘Ada’
abad bastiyan hain paharon ke par bhe

Poet: Ada Jafri

"Dil Hai Ainaa-E-Hairat Se..." by Abid Ali Abid

dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat

aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat

aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat

main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii
main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat

jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe
mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat

dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain
mujh se ankhain na lara aaj kii raat

mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa “Abid”
jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj kii raat

Poet: Abid Ali Abid

"Sun To Sahii Jahaan Main..." by Aatish Hyder Ali

sun to sahi jahaan main hai tera fasana kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

Poet: Aatish Hyder Ali


"Tarapate Hain Na Rote Hain Na..." by Aatish Hyder Ali

tarapate hain na rote hain na ham fariyaad karate hain
sanam kii yaad main har dam Khudaa ko yaad karate hain

unhiin ke ishq main ham naalaa-o-fariyaad karate hain
ilaahii dekhiye kis din hamain vo yaad karate hain

shab-e-furqat main kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain

Poet: Aatish Hyder Ali
"Yaar Ko Main Ne Mujhe Yaar Ne..." By Aatish Hyder Ali

tarapate hain na rote hain na ham fariyaad karate hain
sanam kii yaad main har dam Khudaa ko yaad karate hain

unhiin ke ishq main ham naalaa-o-fariyaad karate hain
ilaahii dekhiye kis din hamain vo yaad karate hain

shab-e-furqat main kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain 

Poet: Aatish Hyder Ali
"Ye Aarazuu Thi Tujhe Gul Ke..." by Aatish Hyder Ali

English Version:

ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
ham aur bul bul-e-betaab guftaguu karte

payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate

merii tarah se maah-o-mahar bhii hain avara
kisii habiib ko ye bhii hain justajuu karate

jo dekhate terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
asiir hone ke aazaad aarazuu karate

na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-”Aatish”
barasatii aag main jo baaraaN kii aarazuu karate

Urdu Version:

یہ آرزو تھی تجھے گل کے رو با رو کراتے
ہم اور بلبل بیتاب گوفتگو کراتے

پیمبر نا میسر ھوا تو خوب ھوا
زبان گیر سے کیا شار کی آرزو کرتے

میری ترح سے ماہ و محر بھی ہیں آوارا
کسی حبیب کو یے بھی ہیں جستجو کراتے

جو دیکھتے تیری زنجیر ظلف کا عالم
اسیرہونے کا آزاد آرزو کراتے

نا پوچھ عالم برگستا تالی آتیش
برستی آگ میں جو باراں کی آرزہ کراتے

Poet:Aatish Haider Ali


English Version...
Mana kay mein Ghareeb Hoon Ye Baat Sach to Hai Lekin wasi


To Agar Apna Bna Le Mujhko to Tery sab Gham Kharid Sakta Hoon
Urdu Version...
مانا کے میں غریب ہوں, یہ بات سچ تو ہے لیکن وصی
تو اگر اپنا بنا لے مجھکو تو تیرے سارے غم خرید  سکتا ہوں 

 Poet:Unknown

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...