"Hosla Ho Is Qadar" by Nazar

Hosla ho iss qadar jo azm ko hasil kare
Ladkhada jate hain aksar log kuchh doori ke baad

Jo bhi ghor-o-fikr ho, ho qabal safar-e-daraz
Hona hayel waswasa ghar se nikal jane ke baad

Khwab ho to Khwab ki tabeer ki tadbeer ho
Roz ho jaddo-jahad shab ke mansoobe ke baad

Ho jahan ki hasratein shamil teri hasrat mein youn
Phir na ho koi juda tere qareeb aane ke baad

Kyon rahe manzil wahi jo thi aghaz-e-safar
Ho nigahein zabar pe zeyr mil jane ke baad

Zindagi hai aarzoo hai khwab tu bhi chand dekh
Kaun kya dekhe hai phir aankh lag jane ke baad


Poet: Nazar
"Hawaon K Hath Ek Arman Bheja Hai"

Hawaon K Hath Ek Arman Bheja Hai
Roshni K Zariye Ek Paigham Bheja Hai
Fursat Milay To Qabool Ker Lena
Is Nacheez Ne Piyara Sa Salam Bheja Hai



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...