skip to main (ir a principal) |
skip to sidebar (ir al sidebar)
"Kal Aur Aaj" by Aale Ahmed Saroor
vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii
band aaNkhen kiye ik simt chale jaate the
aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish
muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the
Poet: Aale Ahmed Saroor
"Bebaki ka is chaman mein tarana nahin raha" by Nazar
Poet: Nazar
"Dost ban ban ke" by Nazar
Kitni shaklon mein mile mujhko satane wale
Khoob ghul mil ke mile mujhko mitane wale
Bahar aai sab aaye har qdam sath rahe
Jab khaizan aai gaye chod ke jane wale
Aarzoo ab nahi koi k kwab bhi dekhon
Gum huey meri ummidon ko sajane wale
Ab zamane me sahi cheeze kahan milti hai
Bas mile mujh ko milawat mein milane wale
Ek hasrat hi rahi bawafa koi milta
Sath chalte rahe fun apna dekhane wale
Apne ehsas ke sholon se bachao khud ko
Kum na honge kabhi gum sum ko rulane wale
Poet: Nazar
"Nazar: Waqt, sabun aor pani bachaya jaye" by Nazar
Waqt, sabun aor pani bachaya jaye
kya jarori hai k roj nahaya jaye
Poet: Nazar
"Hosla ho iss qadar jo azm ko hasil kare" by Nazar
Hosla ho iss qadar jo azm ko hasil kare
ladkhada jate hain aksar log kuchh doori key baad
Poet: Nazar