skip to main (ir a principal) |
skip to sidebar (ir al sidebar)
"Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf" by Ahmad Faraz
Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ‘Faraz’
Aankho’n Main Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir
Poet: Ahmad Faraz
"Ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa" by Ahmad Faraz
ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-mohabbat* kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa
pahle se maraasim* na sahii, phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniaa hi nibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judaai ka sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai, to zamaane ke liye aa
ek umar se huuN lazzt-e-giryaa* se bhii mahruum
ae raahat-e-jaaN mujhko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se haiN ummiideN
yah aakhirii shamaeN bhii bujhaane ke liye aa
Poet: Ahmad Faraz
"Is se pahle ki bewafa ho jaayen" by Ahmad Faraz
is se pahle ki bewafa ho jaayeN
kyuuN na aye dost ham judaa ho jaayeN
tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
ham bhii kal jaane kyaa se kyaa ho jaayeN
ham bhii majbuuriyoN ka uzr kareN
phir kahiiN aur mubtilaa ho jaayeN
ab ke gar tuu mile to ham tujhse
aise lipTeN terii qabaa ho jaayeN
bandagii hamne chhoD dii Faraaz
kyaa kareN log jab Khudaa ho jaayeN
Poet: Ahmad Faraz
"Shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa" by Haider Ali Aatish
shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa
baGal meN sanam thaa, Khudaa meherbaaN thaa
voh shab thii ki thii roshnii jismeN din kii
zamiiN par se ek nuur taa aasmaaN thaa
nikaale the do chaaNd usne muqaabil
voh shab sub'h-e-jannat ka jis pe gumaaN thaa
uruusii kii shab kii halaavat thii haasil
faraHnaak thii ruuH, dil shaadmaaN thaa
bayaaN khwaab kii tarah jo kar rahaa hai
ye qissa hai jab kaa ki Aatish javaaN thaa
Poet: Haider Ali Aatish
"Ye aarzoo thi tujhe gul ke rubaru karte " by Haider Ali Aatish
Ye aarzoo thi tujhe gul ke rubaru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftguu karte
payaambar na mayassar hua, to Khuub huaa
zubaan-e-Ghair se kyaa sharaH-e-aarzuu karte
meri tarah se mah-o-mahar bhii haiN aavaara
kisii habiib kii ye bhi haiN justujuu karte
jo dekhte terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
asiir hone ki aazaad aarzuu karte
na puuchh aalam-e-bargashta taala'aii Aatash
barastii aag, jo baraaN ki aarzuu karte
Poet: Haider Ali Aatish
"tadapte hain na rote hain na ham fariyaad karte hain" by Haider Ali Aatish
tadapte hain na rote hain na ham fariyaad karte hain
sanam ki yaad mein har-dam Khudaa ko yaad karte hain
unhiin ke ishq mein ham naalaa-o-fariyaad karate hain
ilaahii dekhiye kis din hamein vo yaad karate hain
shab-e-furqat mein kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karte hain
Poet: Haider Ali Aatish