"Hosla Ho Is Qadar" by Nazar
Poet: Nazar
Hosla ho iss qadar jo azm ko hasil kare
Ladkhada jate hain aksar log kuchh doori ke baad
Jo bhi ghor-o-fikr ho, ho qabal safar-e-daraz
Hona hayel waswasa ghar se nikal jane ke baad
Khwab ho to Khwab ki tabeer ki tadbeer ho
Roz ho jaddo-jahad shab ke mansoobe ke baad
Ho jahan ki hasratein shamil teri hasrat mein youn
Phir na ho koi juda tere qareeb aane ke baad
Kyon rahe manzil wahi jo thi aghaz-e-safar
Ho nigahein zabar pe zeyr mil jane ke baad
Zindagi hai aarzoo hai khwab tu bhi chand dekh
Kaun kya dekhe hai phir aankh lag jane ke baad
Poet: Nazar