skip to main (ir a principal) |
skip to sidebar (ir al sidebar)
"Aati nahi kahi se dil-e-zinda ki sada" by Akhtar ul Iman
aati nahi kahi se dil-e-zinda ki sada
sune pade hain kucha-o-bazar ishq ke
hai shama-e-anjuman ka naya husn-e-ja gudaz
shayad nahi rahe vo patango ke val_vale
taza na rakh sakegi rivayat-e-dasht-o-dar
vo fitnasar gaye jinhe kante aziz the
Poet: Akhtar ul Iman
"Dil meraa jis se bahalataa koi aisaa na milaa" by Akbar Allahabadi
Dil meraa jis se bahalataa koi aisaa na milaa
but ke bande to mile allaah kaa bandaa na milaa
Poet: Akbar Allahabadi
"kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar " by Ehsan Danish
kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar
huye jis pe meharabaa.N tum ko_ii Khush_nasiib hogaa
merii hasarate.n to nikalii.n mere aa.Nsuuo.n me.n Dhal ke
terii zulf-o-ruKh ke qurbaa.N dil-e-zaar Dhuu.NDhataa hai
vahii champa_ii ujaale vahii surama_ii dhu.ndalake
ko_ii phuul ban gayaa hai ko_ii chaa.Nd ko_ii taaraa
jo chiraaG bujh gaye hai.n terii a.njuman me.n jal ke
mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii Dhuu.NDo
vo yahii.n kahii.n chhupe hai.n mere Gam kaa ruKh badal ke
terii bejhijhak ha.Nsii se na kisii kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aa_iino.n kaa yahaa.N saa.Ns le sambhal ke
Poet: Ehsan Danish
"aafat kii shoKhiyaa.N hai.n tumhaarii nigaah me.n" by Daag Dehlvi
aafat kii shoKhiyaa.N hai.n tumhaarii nigaah me.n
mehashar ke fitane khelate hai.n jalwa-gaah me.n
wo dushmanii se dekhate hai.n dekhate to hai.n
mai.n shaad huu.N ke huu.N to kisii kii nigaah me.n
aatii baat baat mujhe yaad baar baar
kahataa huu.N dau.D dau.D ke qaasid se raah me.n
is taubaah par hai naaz mujhe zaahid is qadar
jo TuuT kar shariik huu.N haal-e-tabaah me.n
mushtaaq is adaa ke bahot dard-ma.nd the
ae DaaG tum to baiTh gaye ek aah me.n
Poet: Daag Dehlvi
"Raat youn dil mein teri khoi hui yaad ayi" by Faiz Ahmed Faiz
Raat youn dil mein teri khoi hui yaad ayi
Jaise veeranay mein chupke se bahar ajaye
Jaise sehraon mein holay se chali baad-e-naseem
Jaise beemar ko bewaja qarar ajaye
Poet: Faiz Ahmed Faiz
"Tera na ho saka to" by Ahmad Faraz
Tera na ho saka to mar jaunga “Faraz”,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.
Poet: Ahmad Faraz
"Jiska tum puchte ho" by Ahmad Faraz
Jiska tum puchte ho wo mar gaya “FARAZ”,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya……….
Poet: Ahmad Faraz
"Doobtay hue suraj ko FARAZ" by Ahmad Faraz
woh roz dekhta hai doobtay hue suraj ko Faraz"
kaash main bhi kisi shaam ka manzar hota !!!
Poet: Ahmad Faraz
"Wo ankhain jheel c gehri" by Ahmad Faraz
Faraz” wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin
Poet: Ahmad Faraz
"Lamhy Yaad Rakhta Hoon" by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz