"kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar " by Ehsan Danish
Poet: Ehsan Danish
kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar
huye jis pe meharabaa.N tum ko_ii Khush_nasiib hogaa
merii hasarate.n to nikalii.n mere aa.Nsuuo.n me.n Dhal ke
terii zulf-o-ruKh ke qurbaa.N dil-e-zaar Dhuu.NDhataa hai
vahii champa_ii ujaale vahii surama_ii dhu.ndalake
ko_ii phuul ban gayaa hai ko_ii chaa.Nd ko_ii taaraa
jo chiraaG bujh gaye hai.n terii a.njuman me.n jal ke
mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii Dhuu.NDo
vo yahii.n kahii.n chhupe hai.n mere Gam kaa ruKh badal ke
terii bejhijhak ha.Nsii se na kisii kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aa_iino.n kaa yahaa.N saa.Ns le sambhal ke
Poet: Ehsan Danish
0 comments:
Post a Comment