"Aankhon main raha dil main utar kar nahi dekha" by Bashir Badr

Aankhon main raha dil main utar kar nahi dekha
Kashti kay musafir ne samandar nahi dekha

Bey waqt agar jaunga sab chaunk paden ge
Ik umr hoi dam main kabhi ghar nahi dekha

Jis din se chala hun meri manzil pey nazar hai
Aankhon ney kabhi mail ka paththar nahi dekha

Yey phol mujhe koi warasat main miley hain
Tum ne mera kanton bhara bistar nahi dekha

Paththar mujhey khta hai mera chahne wala
Main mom hun, usne mujhey chukar nahi dekha!


Poet: Bashir Badr

"Aalam Rozgar ko Aasan Bana Diya" by Asghar Hussain Asghar

Aalam Rozgar ko Aasan Bana Diya
Jo gham hua useye gham-e-jana bana diya

Youn muskuraye jaan si kalyoun me pad gai
Youn lab kusha hoeye k gulistan bana diya

Aye shekh! woh basiyat haqiquat hai eshq ki
kuch quid-o-rasm ne jisye iman bana dia

Kuch aag di hos me to tamir eshq ki
jab khak krdiya usye urfan bana diya

Ik barq thi zamir me fitrat k mojzn
aaj usko husn-o-ishq ka saman bana diya

Asghar Hussain Asghar

Poet: Asghar Hussain Asghar

"Aankh barsi hai tere naam pe" by Murtaza Birlas

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah
Zism sulga hai teri yad me indhan ki tarah


Poet: Murtaza Birlas

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...