Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts
Ahmad Faraz: Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf
Admin | Friday, January 27, 2012 | Labels: Aansoo Shayari, Ahmad Faraz, Dard Bhari Shayari
Ahmad Faraz: Ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
Admin | Friday, January 6, 2012 | Labels: Ahmad Faraz, Love Shayari
"Ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa" by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-mohabbat* kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa
pahle se maraasim* na sahii, phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniaa hi nibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judaai ka sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai, to zamaane ke liye aa
ek umar se huuN lazzt-e-giryaa* se bhii mahruum
ae raahat-e-jaaN mujhko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se haiN ummiideN
yah aakhirii shamaeN bhii bujhaane ke liye aa
Poet: Ahmad Faraz
"Is se pahle ki bewafa ho jaayen" by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
is se pahle ki bewafa ho jaayeN
kyuuN na aye dost ham judaa ho jaayeN
tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
ham bhii kal jaane kyaa se kyaa ho jaayeN
ham bhii majbuuriyoN ka uzr kareN
phir kahiiN aur mubtilaa ho jaayeN
ab ke gar tuu mile to ham tujhse
aise lipTeN terii qabaa ho jaayeN
bandagii hamne chhoD dii Faraaz
kyaa kareN log jab Khudaa ho jaayeN
Poet: Ahmad Faraz
Ahmad Faraz - Tera na ho saka to
Admin | Sunday, October 23, 2011 | Labels: Ahmad Faraz, Bewafa Shayari
Ahmad Faraz - kon pareshan hota hai
Admin | Wednesday, August 24, 2011 | Labels: Aansoo Shayari, Ahmad Faraz, Dard Bhari Shayari
Ahmad Faraz - Haseen yadoon k kuch mousam
Admin | Wednesday, August 17, 2011 | Labels: Ahmad Faraz, Tanhai Shayari
"Haseen yadoon k kuch mousam..." by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
Haseen yadoon k kuch mousam usey arsal karnay hain “FARAZ”!!
Suna hai shab ko “tanhai” usey sonay nahin deti……..
Poet: Ahmad Faraz
Ahmad Faraz - Suna Hai Zindagi
Admin | Monday, August 15, 2011 | Labels: Ahmad Faraz, Dard Bhari Shayari
Ahmad Faraz - Mili saza jo mujhe
Admin | Sunday, August 14, 2011 | Labels: Ahmad Faraz, Saza Shayari
"Mili saza jo mujhe..." by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faraz
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha
ملی سزا جو مجھے وہ کسی ختا پہ نہ تھی فراز
مجھپے جرم جو ثابت ہوا وہ وفا کا تھا
Poet: Ahmad Faraz
"Ungliyan aaj bhi is soch me..." by Ahmad Faraz
انگلیاں آج بھی اس سوچ میں گم ہے فراز
Poet: Ahmad Faraz
Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai farazUsnay kaisay naye haath ko thaama hoga
انگلیاں آج بھی اس سوچ میں گم ہے فراز
اسنے کیسے نئے ہاتھ کو تھاما ہو گا
Poet: Ahmad Faraz
"Unglian toot gaen..." by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
Unglian toot gaen pather tarashte tarashte ‘Faraz”!!Aur jab bani soorat-e-yaar tu kharidar aa gaye..
Poet: Ahmad Faraz
"Jis shahkas ko phoolon..." by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
Maine jis shahkas ko phoolon se sajaya tha “Faraz”!!
Meray seene main usee shahkas ka kanta utra
میں نے جس شخص کو پھولوں سے سجایا تھا فراز
میرے سینے میں اسی شخص کا کانٹا اُترا
میرے سینے میں اسی شخص کا کانٹا اُترا
Poet: Ahmad Faraz
"Wo ankhain jheel c gehri..." by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
Faraz” wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin
Poet: Ahmad Faraz
"Faraz” wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!" by Ahmad Faraz
Poet: Ahmad Faraz
Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge
Poet: Ahmad Faraz
Subscribe to:
Posts (Atom)
















