Showing posts with label Sad Shayari. Show all posts
Showing posts with label Sad Shayari. Show all posts
"tadapte hain na rote hain na ham fariyaad karte hain" by Haider Ali Aatish

tadapte hain na rote hain na ham fariyaad karte hain
sanam ki yaad mein har-dam Khudaa ko yaad karte hain

unhiin ke ishq mein ham naalaa-o-fariyaad karate hain
ilaahii dekhiye kis din hamein vo yaad karate hain

shab-e-furqat mein kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karte hain


Poet: Haider Ali Aatish

"Kal Aur Aaj" by Aale Ahmed Saroor

vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii
band aaNkhen kiye ik simt chale jaate the
aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish
muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the
Aale Ahmed Saroor: Kal Aur Aaj



Poet: Aale Ahmed Saroor


"Bebaki ka is chaman mein tarana nahin raha" by Nazar



Poet: Nazar
"Bulbule-Nashad ne Kuch Is Tarah Fariyad Ki..." by Unknown

Bulbule-Nashad ne Kuch Is Tarah Fariyad Ki
Rote Rote Hichkiya Bandh Gain Saiyad Ki

Poet: Unknown
"Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz..." by Ahmad Faraz

Sirf Chehre Ki Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz,
Dil Ka Alam Tu Abhi Ap Ne Dekha Hi Nahi!!!!

صرف چہرے کی اداسی سے بھر آے انسو فراز
دل کا عالم تو ابھی آپ نے دیکھا ہی نہی


Poet: Ahmad Faraz
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...